اردو हिंदी
Ab daur-e-asman hai na daur-e-hayat hai | Shaahi Shayari
ab daur-e-asman hai na daur-e-hayat hai

Ghazal

Ab daur-e-asman hai na daur-e-hayat hai

Firaq Gorakhpuri

;

ab daur-e-asman hai na daur-e-hayat hai
ai dard-e-hijr tu hi bata kitni raat hai

har kaenat se ye alag kaenat hai
hairat-sara-e-ishq mein din hai na raat hai

jina jo aa gaya to ajal bhi hayat hai
aur yun to umr-e-KHizr bhi kya be-sabaat hai

kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-KHudi
KHurshid hi ki aaKHiri manzil to raat hai

hasti ko jis ne zalzala-saman bana diya
wo dil qarar pae muqaddar ki baat hai

ye mushagafiyan hain giran tab-e-ishq par
kis ko dimagh-e-kawish-e-zat-o-sifat hai

toDa hai la-makan ki hadon ko bhi ishq ne
zindan-e-aql teri to kya kaenat hai

gardun sharar-e-barq-e-dil-e-be-qarar dekh
jin se ye teri taron bhari raat raat hai

gum ho ke har jagah hain za-KHud raftagan-e-ishq
un ki bhi ahl-e-kashf-o-karamat zat hai

hasti ba-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin
phir kis liye ye fikr-e-qarar-o-sabaat hai

us jaan-e-dosti ka KHulus-e-nihan na puchh
jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifat hai

yun to hazar dard se rote hain bad-nasib
tum dil dukhao waqt-e-musibat to baat hai

unwan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visal
bas fursat-e-hayat 'firaq' ek raat hai