ab dard be-dayar hai aur jag-hansai hai
is ishq ne bhi kaisi jawan maut pai hai
baadal hain dal ke dal koi rauzan kahin nahin
ab chhawni ghamon ne falak par bhi chhai hai
ruKHsat ke baad tere sarape se mawara
ye kaun si ada hai jo ab yaad aai hai
aai jo sar pe dhup lage KHema-e-KHayal
tum ho jabhi to waqt ko yun nind aai hai
chup ho gaya hai dil sa fasana-nigar bhi
tanhai ek rahi thi so wo bhi parai hai
kya ab kabhi junun ka bulawa na aaega
sahra ki KHak uD ke KHayaban mein aai hai
jo guzre gham ko KHud mein samoe rahenge hum
hum ne 'zahir' jine ki saugand khai hai
Ghazal
Ab dard be-dayar hai aur jag-hansai hai
Zaheer Fatehpuri