ab chhalakte hue saghar nahin dekhe jate
tauba ke baad ye manzar nahin dekhe jate
mast kar ke mujhe auron ko laga munh saqi
ye karam hosh mein rah kar nahin dekhe jate
sath har ek ko is rah mein chalna hoga
ishq mein rahzan o rahbar nahin dekhe jate
hum ne dekha hai zamane ka badalna lekin
un ke badle hue tewar nahin dekhe jate
Ghazal
Ab chhalakte hue saghar nahin dekhe jate
Ali Ahmad Jalili