اردو हिंदी
Ab charaghon mein zindagi kam hai | Shaahi Shayari
ab charaghon mein zindagi kam hai

Ghazal

Ab charaghon mein zindagi kam hai

Abdul Majeed Khan Majeed

;

ab charaghon mein zindagi kam hai
dil jalao ki raushni kam hai

tab-e-nazzara hai wahi lekin
un ke jalwon mein dilkashi kam hai

badla badla mizaj hai us ka
us ki baaton mein chashni kam hai

kaif-o-masti surur kya mani
zindagi mein bhi ab KHushi kam hai

waqt ne bhar diye hain zaKHm 'majid'
apni aankhon mein ab nami kam hai