اردو हिंदी
Ab bhi zarron pe sitaron ka guman hai ki nahin | Shaahi Shayari
ab bhi zarron pe sitaron ka guman hai ki nahin

Ghazal

Ab bhi zarron pe sitaron ka guman hai ki nahin

Alamtaab Tishna

;

ab bhi zarron pe sitaron ka guman hai ki nahin
zer-e-pa ab bhi tere kahkashan hai ki nahin

ab bhi wo jashn-e-tarab hai ki nahin maqtal mein
ek tamashe ko hujum-e-nigaran hai ki nahin

ab bhi fariyaad-ba-lab hai ki nahin randa-e-ishq
wo hi be-chaargi-e-dil-zadagan hai ki nahin

kahiye nam hai ki nahin chashm-e-nadamat-asar
qafile walon ko ehsas-e-ziyan hai ki nahin

har gul-e-nam ke liye hai ki nahin gardish-e-chaak
ye jahan kargah-e-kuza-garan hai ki nahin

wo mera dushman-e-jaan hai ki nahin sang-ba-dast
raegan koshish-e-sad-shisha-garan hai ki nahin

'tishna' kuchh sab se juda hai ki nahin teri ghazal
munfarid 'sauda' ka andaz-e-bayan hai ki nahin