ab bhi usi tarah se ise intizar hai
ab bhi kisi KHayal se dil be-qarar hai
aati KHizan mein bikhre hain murjhae chand phul
ujDa hua chaman hai ye jati bahaar hai
yun dil pe le liya hai ki tan ka na hosh hai
aur tan pe jo qaba hai to wo tar-tar hai
aahaT ho koi us ki taraf dauDe jate hain
taKHir ek pal ki bhi ab dil pe bar hai
dil ko jalae rakkha hai hum ne charagh sa
is ghar mein hum hain aur tera intizar hai
Ghazal
Ab bhi usi tarah se ise intizar hai
Razi Raziuddin