اردو हिंदी
Ab bhi tauhin-e-itaat nahin hogi humse | Shaahi Shayari
ab bhi tauhin-e-itaat nahin hogi humse

Ghazal

Ab bhi tauhin-e-itaat nahin hogi humse

Iftikhar Arif

;

ab bhi tauhin-e-itaat nahin hogi hum se
dil nahin hoga to baiat nahin hogi hum se

roz ek taza qasida nai tashbib ke sath
rizq bar-haq hai ye KHidmat nahin hogi hum se

dil ke mabud jabinon ke KHudai se alag
aise aalam mein ibaadat nahin hogi hum se

ujrat-e-ishq wafa hai to hum aise mazdur
kuchh bhi kar lenge ye mehnat nahin hogi hum se

har nai nasl ko ek taza madine ki talash
sahibo ab koi hijrat nahin hogi hum se

suKHan-arai ki surat to nikal sakti hai
par ye chakki ki mashaqqat nahin hogi hum se