ab bhi pal pal ji dukhta hai
jaise sab kuchh abhi hua hai
kabhi na phir milna ho jaise
aaj wo mujh se yun bachhDa hai
baadal to khul kar barsa tha
phir bhi sara din jalta hai
hum bhi kabhi KHush ho lete the
aaj achanak yaad aaya hai
sawan ho patjhaD ho ki gul-rut
dil har mausam mein tanha hai
badan badan KHushbu phaili hai
ghunghaT ghunghaT phul khila hai
main hun mor ghane jangal ka
tu kali ghanghor ghaTa hai
main ek dukh se bhari kahani
tu miTha sundar sapna hai
'pashi' kis ki madh mein tum ne
aaj itna kuchh kah Dala hai
Ghazal
Ab bhi pal pal ji dukhta hai
Kumar Pashi