اردو हिंदी
Ab bhi ek umr pe jine ka na andaz aaya | Shaahi Shayari
ab bhi ek umr pe jine ka na andaz aaya

Ghazal

Ab bhi ek umr pe jine ka na andaz aaya

Shad Azimabadi

;

ab bhi ek umr pe jine ka na andaz aaya
zindagi chhoD de pichha mera main baz aaya

muzhda ai ruh tujhe ishq sa dam-saz aaya
nakbat-e-faqr gai shah-e-sar-afraaz aaya

pas apne jo naya koi fusun-saz aaya
ho rahe us ke hamein yaad tera naz aaya

pite pite teri ek umr kaTi us par bhi
pine wale tujhe pine ka na andaz aaya

dil ho ya ruh o jigar kan khaDe sab ke hue
ishq aaya ki koi mufsida-pardaz aaya

le raha hai dar-e-mai-KHana pe sun-gun waiz
rindo hushyar ki ek mufsida-pardaz aaya

dil-e-majbur pe is tarah se pahunchi wo nigah
jaise usfur pe par tol ke shahbaz aaya

kyun hai KHamosh dila kis se ye sargoshi hai
maut aai ki tere waste hamraaz aaya

dekh lo ashk-e-tawatur ko na puchho mera haal
chup raho chup raho is bazm mein ghammaz aaya

is KHarabe mein to hum donon hain yaksan saqi
hum ko pine tujhe dene ka na andaz aaya

nala aata nahin kan-ras hai faqat ai bulbul
mard-e-sayyah hun sun kar teri aawaz aaya

dil jo ghabrae qafas mein to zara par kholun
zor itna bhi na ai hasrat-e-parwaz aaya

dekhiye nala-e-dil ja ke lagae kis se
jis ka khaTka tha wahi mufsida-pardaz aaya

muddai basta-zaban kyun na ho sun kar mere sher
kya chale sehr ki jab sahib-e-ejaz aaya

rind phailae hain chullu ko takalluf kaisa
saqiya Dhaal bhi de jam KHuda-saz aaya

na gaya par na gaya shama ka rona kisi haal
go ki parwana-e-marhum sa dam-saz aaya

ek chupki mein gulu tum ne nikale sab kaam
ghamza aaya na karishma na tumhein naz aaya

dhyan rah rah ke udhar ka mujhe dilwata hai
dam na aaya mere tan mein koi dam-saz aaya

kis tarah maut ko samjhun na hayat-e-abadi
aap aae ki koi sahib-e-ejaz aaya

be-'anis' ab chaman-e-nazm hai viran ai 'shad'
hae aisa na koi zamzama-pardaz aaya