ab ji hudud-e-sud-o-ziyan se guzar gaya
achchha wahi raha jo jawani mein mar gaya
palkon pe aa ke ruk si gai thi har ek mauj
kal ro liye to aankh se dariya utar gaya
tujh se to dil ke pas mulaqat ho gai
main KHud ko DhunDne ke liye dar-ba-dar gaya
sham-e-watan kuchh apne shahidon ka zikr kar
jin ke lahu se subh ka chehra nikhar gaya
aaKHir bahaar ko to jo karna tha kar gai
ilzam-e-ehtiyat gireban ke sar gaya
zanjir matami hai tum ai aaqilan-e-shahr
ab kis ko puchhte ho diwana to mar gaya
Ghazal
Ab bhi hudud-e-sud-o-ziyan se guzar gaya
Mustafa Zaidi