ab baad-e-fana kis ko bataun ki main kya tha
ek KHwab tha aur KHwab bhi tabir-numa tha
ab tak wo saman yaad hai jab hosh-ba-ja tha
har shai mein mujhe lutf tha har shai mein maza tha
tum jaur-o-jafa mujh pe na karte to bura tha
hote na agar zulm to kya lutf-e-wafa tha
kuchh yaad hain aaghaz-e-mohabbat ki wo baaten
aur bhulne wale yahi paiman-e-wafa tha
mauquf hai didar faqat zauq-e-nazar par
aksar ke liye tur ke shoalon mein KHuda tha
yun maut pe main jaan ko qurban na karta
tu ne mujhe shayad koi paigham diya tha
hasti-o-adam donon ham-aghosh the goya
taswir ka ek ruKH tha fana ek baqa tha
matlub ke dil mein bhi talab thi meri 'shaukat'
dekha use main ne to mujhe dekh raha tha

Ghazal
Ab baad-e-fana kis ko bataun ki main kya tha
Shaukat Thanvi