اردو हिंदी
Ab ayaadat ko meri koi nahin aaega | Shaahi Shayari
ab ayaadat ko meri koi nahin aaega

Ghazal

Ab ayaadat ko meri koi nahin aaega

Salam Machhli shahri

;

ab ayaadat ko meri koi nahin aaega
phir hun bimar kisi ko na yaqin aaega

gham musalsal ho to ahbab bichhaD jate hain
ab na koi dil-e-tanha ke qarin aaega

apne KHwabon ke darichon mein jala lo shamen
aur ye soch lo ek mah-jabin aaega

phir nigar-e-chaman-e-wadi-e-farda-e-bahaar
gul-ba-dast-e-mah-o-anjum ba-jabin aaega

zehn-e-taza ke liye saz-e-haqiqat chheDo
chain ise sirf taKHayyul se kahin aaega

sirf apne hi azaem pe bharosa kar le
kaam koi bhi na ai qalb-e-hazin aaega

roz puja ke liye phul sajata hai 'salam'
jaane kab us ka KHuda su-e-zamin aaega