ab aur sanehe hum par nahin guzarne ke
guzar gae hain jo lamhe the KHud se Darne ke
na bhagne ke rahe hum na ab Thaharne ke
wo lamhe aae jo aa kar nahin guzarne ke
baDe baDon ne yahan aa ke dam nahin mara
wo aae marhale apni sada se Darne ke
ye ek arse ke chup ki KHarash aur sahi
sada ke zaKHm to chup se nahin the bharne ke
nae sire se talluq banenge bigDenge
ki ab irade hain ek ek baat karne ke
Ghazal
Ab aur sanehe hum par nahin guzarne ke
Manmohan Talkh