ab aur chalne ka is dil mein hausla hi na tha
ki shahr-e-shab mein ujale ka shaiba hi na tha
main us gali mein gaya le ke zoam-e-ruswai
magar mujhe to wahan koi jaanta hi na tha
gudaz-e-jaan se liya main ne phir ghazal ka suragh
ki ye charagh to jaise kabhi bujha hi na tha
koi pukare kisi ko to KHud hi kho jae
hua to hai magar aisa kabhi suna hi na tha
kise kahen ki rifaqat ka dagh hai dil par
bichhaDne wala to khul kar kabhi mila hi na tha
musafiron ko kai wahime satate hain
Thaharte kya ki darichon mein to diya hi na tha
damak uTha tha wo chehra haya ki chadar mein
ki jaise jurm-e-wafa us ka muddaa hi na tha
hamare hath faqat ret ke sadaf aae
ki sahilon pe sitara koi raha hi na tha
Ghazal
Ab aur chalne ka is dil mein hausla hi na tha
Aslam Ansari