ab asiri ki ye tadbir hui jati hai
ek KHushbu meri zanjir hui jati hai
ek hasin KHwab ki aankhon se nikalta hi nahin
ek wahshat hai ki tabir hui jati hai
us ki poshak nigahon ka ajab hai ye fusun
KHush-bayani meri taswir hui jati hai
ab wo didar mayassar hai na qurbat na suKHan
ek judai hai jo taqdir hui jati hai
un ko ashaar na samjhen kahin duniya wale
ye to hasrat hai jo tahrir hui jati hai
Ghazal
Ab asiri ki ye tadbir hui jati hai
Ambareen Haseeb ambar