ab ashk to kahan hai jo chahun Tapak paDe
aankhon se waqt-e-girya magar KHun Tapak paDe
pahunchi jo Tuk jhalak tere ranon ki gosh tak
KHajlat se aab ho dur-e-maknun Tapak paDe
tughiyan sarishk ka to yahan tak hai chashm se
ek qatra aab ka ho to jaijun Tapak paDe
Duba hai bahr sher mein aisa 'nawa' ki ab
de taba ko fishaar to mazmun Tapak paDe
Ghazal
Ab ashk to kahan hai jo chahun Tapak paDe
Zahurullah Badayuni Nava