ab apni zat ka irfan hone wala hai
KHuda se rabta aasan hone wala hai
ganwa chuka hun main chaalis sal jis ke liye
wo ek pal meri pahchan hone wala hai
isi liye to jalata hun aandhiyon mein charagh
yaqin hai ki nigahban hone wala hai
ab apne zaKHm nazar aa rahe hain phul mujhe
shuur-e-dard pasheman hone wala hai
mere liye teri jaanib se pyar ka izhaar
mere ghurur ka saman hone wala hai
ye choT hai meri mushkil-pasand fitrat par
jo marhala tha ab aasan hone wala hai
agar ghurur hai suraj ko apni hiddat par
to phir ye qatra bhi tufan hone wala hai
bahut uruj pe KHush-fahmiyan hain ab us ki
wo an-qarib pasheman hone wala hai
tu apna hath mere hath mein agar de de
to ye faqir bhi sultan hone wala hai
charagh-e-dar ki lau mand paD rahi hai 'nadim'
phir apne nam ka elan hone wala hai
Ghazal
Ab apni zat ka irfan hone wala hai
Nadeem Fazli