اردو हिंदी
Ab apne des ki aab-o-hawa hum ko nahin bhati | Shaahi Shayari
ab apne des ki aab-o-hawa hum ko nahin bhati

Ghazal

Ab apne des ki aab-o-hawa hum ko nahin bhati

Jami Rudaulvi

;

ab apne des ki aab-o-hawa hum ko nahin bhati
ghulami ek zillat thi sarapa dard aazadi

qayaadat karne walon ko masihai ka dawa tha
kisi ne lekin ab tak qaum ki biDi nahin kaTi

abhi tak panw se chimTi hain zanjiren ghulami ki
din aa jata hai aazadi ka aazadi nahin aati

unhin aqwam ke rahm-o-karam par ab bhi jite hain
ghurur-e-hurriyat ne jin se hasil ki thi aazadi

baja-e-fikr-e-nau rajat-pasandi aam shewa hai
haqiqat mein musalman har jagah hai kushta-e-mazi

karachi mein muhajir aur inglistan mein kale
teri taqdir mein 'jami' likhi hai KHana-barbaadi