ab aksar chup chup se rahen hain yunhi kabhu lab kholen hain
pahle 'firaq' ko dekha hota ab to bahut kam bolen hain
din mein hum ko dekhne walo apne apne hain auqat
jao na tum in KHushk aankhon par hum raaton ko ro len hain
fitrat meri ishq-o-mohabbat qismat meri tanhai
kahne ki naubat hi na aai hum bhi kisu ke ho len hain
KHunuk siyah mahke hue sae phail jaen hain jal-thal par
kin jatanon se meri ghazlen raat ka juDa kholen hain
bagh mein wo KHwab-awar aalam mauj-e-saba ke ishaaron par
Dali Dali nauras patte sahj sahj jab Dolen hain
uf wo labon par mauj-e-tabassum jaise karwaTen len kaunde
hae wo aalam-e-jumbish-e-mizhgan jab fitne par taulen hain
naqsh-o-nigar-e-ghazal mein jo tum ye shadabi pao ho
hum ashkon mein kaenat ke nok-e-qalam ko Dubo len hain
in raaton ko harim-e-naz ka ek aalam hue hai nadim
KHalwat mein wo narm ungliyan band-e-qaba jab kholen hain
gham ka fasana sunne walo aaKHir-e-shab aaram karo
kal ye kahani phir chheDenge hum bhi zara ab so len hain
hum log ab to ajnabi se hain kuchh to batao haal-e-'firaq'
ab to tumhin ko pyar karen hain ab to tumhin se bolen hain
Ghazal
Ab aksar chup chup se rahen hain yunhi kabhu lab kholen hain
Firaq Gorakhpuri