ab aisi baaten koi kare jo sab ke man ko lubha jaen
koi to aisa git chhiDe wo jis ko sunen aur aa jaen
be-tal hai kaisi ye sargam be-lahra panjam hai maddham
jo rag hai dipak is man mein us rag ko kaise ga jaen
ab chalna hai to chalna hai kya panw ke chhaalon ko dekhen
is dharti ki pag-DanDi se koi Thikana pa jaen
ye mera lahu wo tera lahu ye mera ghar wo tera hai
jo aag lagi hai donon mein ab jate jate bujha jaen
ye Dher nahin hai miTTi ka ek 'salik' thak kar soya hai
kuchh os gira do palkon se kuchh phul yahan lahra jaen
Ghazal
Ab aisi baaten koi kare jo sab ke man ko lubha jaen
Salik Lakhnavi