اردو हिंदी
Ab aise chaak par kuza-gari hoti nahin thi | Shaahi Shayari
ab aise chaak par kuza-gari hoti nahin thi

Ghazal

Ab aise chaak par kuza-gari hoti nahin thi

Shaheen Abbas

;

ab aise chaak par kuza-gari hoti nahin thi
kabhi hoti thi miTTi aur kabhi hoti nahin thi

bahut pahle se afsurda chale aate hain hum to
bahut pahle ki jab afsurdagi hoti nahin thi

hamein in haalon hona bhi koi aasan tha kya
mohabbat ek thi aur ek bhi hoti nahin thi

diya pahuncha nahin tha aag pahunchi thi gharon tak
phir aisi aag jis se raushni hoti nahin thi

nikal jate the sar par be-sar-o-samani lade
bhari lagti thi gaThri aur bhari hoti nahin thi

hamein ye ishq tab se hai ki jab din ban raha tha
shab-e-hijran jab itni sarsari hoti nahin thi

hamein ja ja ke kahna paDta tha hum hain yahin hain
ki jab maujudgi maujudgi hoti nahin thi

bahut takrar rahti thi bhare ghar mein kisi se
jo shai darkar hoti thi wahi hoti nahin thi

tumhi ko hum basar karte the aur din mapte the
hamara waqt achchha tha ghaDi hoti nahin thi