ab ahl-e-dil hain ki nayab hote jate hain
ghubar-e-KHatir-e-ahbab hote jate hain
tumhaare aane se kuchh iztirab kam hota
ye kya ki aur bhi betab hote jate hain
sukun-maab samajhte the jin kinaron ko
simaT ke halqa-e-girdab hote jate hain
hamein bhi raat ko din kahna aata jata hai
ki hum bhi hamil-e-adab hote jate hain
hamein mile na mile zindagi magar 'nikhat'
suna hai zist ke asbab hote jate hain
Ghazal
Ab ahl-e-dil hain ki nayab hote jate hain
Nikhat Barelvi