اردو हिंदी
Ab agar aur chup rahunga main | Shaahi Shayari
ab agar aur chup rahunga main

Ghazal

Ab agar aur chup rahunga main

Jahangeer nayab

;

ab agar aur chup rahunga main
phir ye tai he ki phaT paDunga main

ek aisa bhi waqt aaega
tum sunoge faqat kahunga main

naz uThaunga naz uThane tak
tere aage nahin bichhunga main

dekhna teri rahbari ke baghair
apni manzil talash lunga main

tum ko jaana hai shauq se jao
ab KHushamad nahin karunga main

jab kabhi tujh se samna hoga
ajnabi ki tarah milunga main

kya sabab hai meri KHamoshi ka
shor thamne do phir kahunga main

aaina rakh ke samne 'nayab'
pagalon ki tarah hansunga main