ab aar-par dhyan ki mashal kahan hai zeb
gunjaan dard ka mere andar dhuan hai zeb
gaDe siyah mein hai lahu ki lapak na lahr
kyun is qadar bhi naqsh-e-nafas be-nishan hai zeb
kyun be-asar hai meri dua sahn-e-subh mein
kyun shab-kade mein meri fughan raegan hai zeb
kyun muTThi-bhar sarab se nuqsan-e-dasht hai
kyun aankh-bhar nami se chaman ka ziyan hai zeb
Ghazal
Ab aar-par dhyan ki mashal kahan hai zeb
Rajinder Manchanda Bani