ab aankh bhi mashshaq hui zer-o-zabar ki
KHwahish to teri ghaT ki rah pai na ghar ki
rang apne jo the bhar bhi kahan pae kabhi hum
hum ne to sada radd-e-amal mein hi basar ki
jab sirf tere gul mein mera hissa nazar hai
phir soch hai kya dard ye taKHir nazar ki
ye kufe ki galiyan hain ki ye meri ragen bhi
har samt se chubhti hai ani mujh ko shimar ki
Ghazal
Ab aankh bhi mashshaq hui zer-o-zabar ki
Azra Parveen