aazurdagi ka us ki zara mujh ko pas tha
main warna aaj us se zyaada udas tha
suraj nahin tha dur sawa neze se magar
meri ana ka saya mere aas pas tha
ab aa ke so gaya hai samundar ki god mein
dariya mein warna shor hi us ki asas tha
ruhen uThin gale milin wapas chali gain
is raaz ke chhupane ko tan par libas tha
paDh kar jise ubharne lagen an-ginat sawal
aise hi ek fasane ka wo iqtibas tha
ab aa ke barf pighli hai kuchh e'tiqad ki
jis ko yaqin samajhte rahe hum qayas tha
Ghazal
Aazurdagi ka uski zara mujhko pas tha
Aftab Shamsi