aazurda nigahon pe ye manzar nahin utra
sahra-e-tasawwur mein koi ghar nahin utra
jab mil gaya irfan-e-nazar mujh ko KHuda se
phir kyun mere ehsas se mahshar nahin utra
dekha nahin jis ne mere tufan ko sukun mein
wo shaKHs meri ruh ke andar nahin utra
zalim to bahut hain magar ab un ko miTane
phir koi ababil ka lashkar nahin utra
is masnad-e-KHaki pe main baiTha hun jahan par
koi bhi mahal-saz barabar nahin utra
tanhai jahan bhi mili aadab kiya hai
haq-talfi pe us ki mera paikar nahin utra
samjhaute bulate rahe de kar mujhe gauhar
iman ke ziyan mein magar 'azhar' nahin utra
Ghazal
Aazurda nigahon pe ye manzar nahin utra
Azhar Hashmi