aazurda ho gaya wo KHaridar be-sabab
dil bech kar hua main gunahgar be-sabab
main ne to us se aankh laDai nahin kabhi
abru ne mujh pe khinchi hai talwar be-sabab
main ne balaen bhi nahin lin zulf-e-yar ki
main ho gaya bala-e-giraftar be-sabab
bosa kabhi liya nahin gul se ezar ka
kyun dil ke aable mein chubha KHar be-sabab
kyun uTh khaDe hue wo bhala main ne kya kaha
pahlu mein baiTh kar hue bezar be-sabab
puchhe to koi kya mere taqsir kya gunah
karta hai kyun sitam wo sitamgar be-sabab
ek raat bhi hansa nahin us shama-ru se main
aansu mere gale ke hue haar be-sabab
kis din do-chaar nargisi aankhon se main hua
is ishq ne kiya mujhe bimar be-sabab
jo un ki baat hai wo laDakpan ke sath hai
iqrar be-jahat hai to inkar be-sabab
phaha jagah ki dagh ka shayad sarak gaya
ye chashm-e-tar nahin hai sharar-bar be-sabab
dikhla ki ye bahaar shagufa phulaenge
oDha nahin do-shaala-e-gulnar be-sabab
nikle the mujh par aaj wo talwar bandh kar
rahgir kushta ho gae do-chaar be-sabab
aamad nahin kisi ki to kyun jagte ho 'bahr'
rahta hai shab ko koi bhi bedar be-sabab
Ghazal
Aazurda ho gaya wo KHaridar be-sabab
Imdad Ali Bahr