'azar' raha hai tesha mere KHandan mein
paikar dikhai dete hain mujh ko chaTan mein
sab apne apne taq mein tharra ke rah gae
kuchh to kaha hawa ne charaghon ke kan mein
main apni justuju mein yahan tak pahunch gaya
ab aaina hi rah gaya hai darmiyan mein
manzar bhaTak rahe the dar-o-baam ke qarib
main so raha tha KHwab ke pichhle makan mein
lazzat mili hai mujh ko aziyyat mein is liye
ehsas khinchna tha badan ki kaman mein
nikli nahin hai dil se mere bad-dua kabhi
rakkhe KHuda adu ko bhi apni aman mein
'azar' usi ko log na kahte hon aaftab
ek dagh sa chamakta hai jo aasman mein
Ghazal
Aazar raha hai tesha mere KHandan mein
Dilawar Ali Aazar