aazar mere dil ka dil-azar na ho jae
jo karb nihan hai wo numudar na ho jae
aawaz bhi deti hai ki uTh jag mere lal
Darti bhi hai bachcha kahin bedar na ho jae
jab tak main pahunchta hun kaDi dhup mein chal kar
diwar ka saya pas-e-diwar na ho jae
parda na sarak jae kahin ai dil-e-betab
wo parda-nashin aur pur-asrar na ho jae
baDhta chala jata hai zamane se talluq
ye silsila zanjir-e-giran-bar na ho jae
aaram se rahta hi nahin banda-e-be-dam
jab tak kisi mushkil mein giraftar na ho jae
Ghazal
Aazar mere dil ka dil-azar na ho jae
Anjum Khayali