aazar-e-dil se rang-e-tabiat badal gaya
aaKHir dimagh fikr-e-musalsal se chal gaya
jalwa hazar pardon mein chhupta nahin kabhi
tab-e-ruKH-e-nigar se ghunghaT hi jal gaya
dawa karunga dawar-e-mahshar ke samne
duniya se meri teri kashakash ka hal gaya
afkar tere husn ki jadugari sanam
har sher teri zulf ki KHushbu mein Dhal gaya
kal zindagi se apni kuchh aise KHafa tha main
tum ne ye samjha sine se arman nikal gaya
aawargi le jae hai jaane kahan kahan
nikla main sahra se junhi su-e-jabal gaya
uThta hai dard pahlu mein goya nahin hai dil
jadu kisi ki shoKH nigahon ka chal gaya
hain bul-hawas hazaron koi ahl-e-dil nahin
ab rasm-e-ashiqi se bhi husn-e-amal gaya
daim shab-e-firaq mein shoale se ishq ke
misl-e-charagh dagh-e-dil-e-KHasta jal gaya
kya us ke ji mein aai ki muddat ke baad yar
khulne laga tha hum se wa-lekin sambhal gaya
aashuftagi se mere dil-e-na-tawan ka haal
bigDa KHudaya aisa mera dam nikal gaya
fariyaad-e-shoala-bar ne kya kya ghazab kiye
jawen kahan 'jalali' chaman sara jal gaya

Ghazal
Aazar-e-dil se rang-e-tabiat badal gaya
Rauf Yasin Jalali