اردو हिंदी
Aazada-manish rah duniya mein parwa-e-ummid-o-bim na kar | Shaahi Shayari
aazada-manish rah duniya mein parwa-e-ummid-o-bim na kar

Ghazal

Aazada-manish rah duniya mein parwa-e-ummid-o-bim na kar

Josh Malihabadi

;

aazada-manish rah duniya mein parwa-e-ummid-o-bim na kar
jab tak na milen fitrat ke qadam KHam dekh sar-e-taslim na kar

sine mein hai us ke soz agar shaitan ke qadam le aankhon par
begana-e-dard-e-dil hai agar jibril ki bhi tazim na kar

kitni hi shuaen abr mein hon KHurshid-e-junun par iman la
kitne hi dalael raushan hon danish ko kabhi taslim na kar

sanchon mein barabar Dhalta ja raftar-e-jahan se pher na munh
tansiKH to kya is daftar mein jina hai to kuchh tarmim na kar

ai 'josh' hujum-e-kulfat mein fariyaad o fughan se kaam na le
ghaT jaega is se dil ka asar ajza-e-tapish taqsim na kar