aazad us se hain ki bayaban hi kyun na ho
phaDenge jeb gosha-e-zindan hi kyun na ho
ho shughl koi ji ke bahalne ke waste
rahat-faza hai nala o fughan hi kyun na ho
sauda-e-zulf-e-yar se baz aaenge na hum
majmu-e-hawas pareshan hi kyun na ho
ehsan-e-tir-e-yar ada ho sakega kya
jaan apni nazr-e-lazzat-e-paikan hi kyun na ho
jite rahenge wada-e-sabr-azma pe hum
umr apni misl-e-waqt-e-gurezan hi kyun na ho
'wahshat' ruken na hath sar-e-hashr dekhna
us fitna-KHu ka gosha-e-daman hi kyun na ho
Ghazal
Aazad us se hain ki bayaban hi kyun na ho
Wahshat Raza Ali Kalkatvi