aaya ufuq ki sej tak aa kar palaT gaya
lekin urus-e-shab ka wo ghunghaT ulaT gaya
dil mein basi hain kitni tere baad bastiyan
dariya tha KHushk ho ke jaziron mein baT gaya
ek shaKHs lauTte hue kal tere shahr se
ro ro ke apne naqsh-e-qadam se lipaT gaya
main chal raha hun KHol badan ka utar kar
ab mere raste ka ye patthar bhi haT gaya
phaili rahengi jholiyan palkon ki kab talak
aaya tha jo umaD ke wo baadal to chhaT gaya
dasht-e-nazar se itne bagule uThe 'rashid'
ek muskuraate chand ka chehra bhi aT gaya

Ghazal
Aaya ufuq ki sej tak aa kar palaT gaya
Rasheed Qaisrani