اردو हिंदी
Aaya tha koi zehn tak aa kar palaT gaya | Shaahi Shayari
aaya tha koi zehn tak aa kar palaT gaya

Ghazal

Aaya tha koi zehn tak aa kar palaT gaya

Satya Nand Java

;

aaya tha koi zehn tak aa kar palaT gaya
lekin bisat-e-dil to hamari ulaT gaya

hae wo sail-e-ashk jo palkon pe tham gaya
aankhon mein apni aaj samundar simaT gaya

phailae hum khaDe rahe palkon ki jholiyan
aaya umaD ke abr magar wo bhi chhaT gaya

teri gali mein tera tasawwur kiye hue
ek shaKHs aap sae se apne lipaT gaya

dasht-e-hayat se koi guzra hai is tarah
gard-e-qadam se waqt ka chehra bhi aT gaya