aaya piya sharab ka pyala piya hua
dil ke diye ki jot sin kajal diya hua
aaya hai mere qatl pe darpesh be-tarah
aaya hai mujh kun pesh wo apna kiya hua
mara hua hai KHizr-e-mohabbat ki tegh ka
aab-e-hayat-e-shauq sin tere jiya hua
baiTha hai taKHt-e-shauq pe jo ho ke be-riya
wo padshah-e-bargah-e-kibriya hua
nikla hai dil jala ke mujh aankhon se tifl-e-ashk
us shoKH-e-be-jigar ka dekho kya hiya hua
dil le gaya hai mujh kun de ummid-e-dil-dahi
zalim kabhi to laega mera liya hua
nahin jab sin pas shahid-e-gulgun-qaba 'siraj'
ji par hai tang jism ka jama siya hua
Ghazal
Aaya piya sharab ka pyala piya hua
Siraj Aurangabadi