aaya nahin jo kar kar iqrar hanste hanste
jul de gaya hai shayad ayyar hanste hanste
itna na hans dil us se aisa na ho ki chanchal
laDne ko tujh se howe tayar hanste hanste
le kar sarih dil ko wo gul-izar yaro
zahir kare hai kya kya inkar hanste hanste
hans hans ke chheD us ko zinhaar tu na ai dil
hoga gale ka tere ye haar hanste hanste
hansne ki aan dikhla leta hai dil ko gul-ru
karta hai shoKH yaro be-kar hanste hanste
jhunjhla ke haal dil ka kahna nahin rawa hai
laeq yahan to karna inkar hanste hanste
dastar surKH saj kar turra zari ka rakh kar
aaya jo dil ko lene dildar hanste hanste
aankhen laDa ke us ne hans kar nigah ki aisi
jo le gaya dil aaKHir KHunKHar hanste hanste
aaya hai dekhne ko tere 'nazir' ai gul
dikhla de Tuk tu us ko didar hanste hanste
Ghazal
Aaya nahin jo kar kar iqrar hanste hanste
Nazeer Akbarabadi