aaya nahin hai rah pe charKH-e-kuhan abhi
KHatre mein dekhta hun chaman ka chaman abhi
uTThenge apni bazm se mansur saikaDon
kaam ahl-e-haq ke aaenge dar-o-rasan abhi
ranj-o-mehan nigah jo pheren to pher len
lekin mujhe aziz hain ranj-o-mehan abhi
baDhne do aur shauq-e-shahadat awam mein
kuchh banjh to nahin hai ye KHak-e-watan abhi
aankhon ki surKHiyan hain azaem ka ishtihaar
sine sulag rahe hain lagi hai lagan abhi
ye karwan shanawar-e-tufan to hai magar
chehron pe bolti hai safar ki thakan abhi
hain samne hamare riwayat-e-kar-zar
bandhe hue hain sar se mujahid kafan abhi
ban ban ke jaane kitne fana honge somnat
baste hain har gali mein yahan but-shikan abhi
ai shahryar hum se shikasta-dilon mein aa
teri taraf se KHalq ko hai husn-e-zan abhi
raqsan abhi hain sham-e-ghariban ki jhalkiyan
raushan nahin hai KHanda-e-subh-e-watan abhi
jite rahen umid pe rindan-e-tishna-kaam
chalta nahin hai daur-e-sharab-e-kuhan abhi
jin ke lahu se qasr-e-wafa mein jale charagh
in gham-zadon mein aam hain ranj-o-mehan abhi
gulshan se phul chal ke mazaron tak aa gae
lekin hai baghban ki jabin par shikan abhi
hai ilm ki nigah se pinhan rah-e-amal
kahte nahin kafan ko yahan pairahan abhi
nabz-e-bahaar par hain bagulon ki ungliyan
chalne ko chal rahi hai nasim-e-chaman abhi
shabnam ke ashk sukhne deti nahin faza
hansta hai KHud bahaar-e-chaman par chaman abhi
har gam har maqam pe koshish ke bawajud
'danish' na aa saka mujhe jine ka fan abhi
Ghazal
Aaya nahin hai rah pe charKH-e-kuhan abhi
Ehsan Danish