aaya hun sang o KHisht ke ambar dekh kar
KHauf aa raha hai saya-e-diwar dekh kar
aankhen khuli rahi hain meri intizar mein
aae na KHwab dida-e-bedar dekh kar
gham ki dukan khol ke baiTha hua tha main
aansu nikal paDe hain KHaridar dekh kar
kya ilm tha phisalne lagenge mere qadam
main to chala tha rah ko hamwar dekh kar
har koi parsai ki umda misal tha
dil KHush hua hai ek gunahgar dekh kar
Ghazal
Aaya hun sang o KHisht ke ambar dekh kar
Adeem Hashmi