اردو हिंदी
Aaya hi nahin koi bojh apna uThane ko | Shaahi Shayari
aaya hi nahin koi bojh apna uThane ko

Ghazal

Aaya hi nahin koi bojh apna uThane ko

Ahmad Mahfuz

;

aaya hi nahin koi bojh apna uThane ko
kab tak main chhupa rakhta is KHwab-KHazane ko

dekha nahin ruKH karte jis tarf zamane ko
ji chahta hai akasr us samt hi jaane ko

ye shaghl-e-zabani bhi be-sarfa nahin aaKHir
sau baat banata hun ek baat banane ko

is kunj-e-tabiat ki mumkin hai hawa badle
jhonka koi aa jae patte hi uDane ko

raazi na hua main bhi manus manazir par
tayyar na tha wo bhi kuchh aur dikhane ko

jaisa ki samajhte ho waisa to nahin kuchh bhi
ye sara tamasha hai ek wahm miTane ko