اردو हिंदी
Aawe jo naz se mera wo but-e-sim-bar ba-bar | Shaahi Shayari
aawe jo naz se mera wo but-e-sim-bar ba-bar

Ghazal

Aawe jo naz se mera wo but-e-sim-bar ba-bar

Baqaullah u0027Baqau0027

;

aawe jo naz se mera wo but-e-sim-bar ba-bar
kahe ko le phire mujhe mera nasib dar-ba-dar

chashm-ba-chashm ru-ba-ru sina-ba-sina dil-ba-dil
saq-ba-saq o lab-ba-lab pae-ba-pae sar-ba-sar

tum to raho ho mehrban ghair ke sath is tarah
aur main phirun hun KHwar-o-zar KHana-ba-KHana ghar-ba-ghar

ai but-e-mehr-wash kabhi Tuk to nigah-e-garm ho
ashk se kab talak rahen daman-o-jeb tar-ba-tar

dam-e-bala se ab 'baqa' hum se asir kab chhuTen
rishta-e-gham se guth gae baal-ba-baal par-ba-par