اردو हिंदी
Aawazon ki dhund se Darta rahta hun | Shaahi Shayari
aawazon ki dhund se Darta rahta hun

Ghazal

Aawazon ki dhund se Darta rahta hun

Qayyum Tahir

;

aawazon ki dhund se Darta rahta hun
tanhai mein chup ko oDh ke baiTha hun

apni KHwahish apni soch ke bij liye
ek an-dekhi KHwab-zamin ko DhunDhta hun

samne rakh kar gae dinon ka aaina
apne dhundle mustaqbil ko dekhta hun

sahil sahil bhigi ret pe chalta tha
sahraon mein Tangen toD ke baiTha hun

meri sari samten raat ke ghere mein
main subhon ki zaKHmi aankh ka sapna hun

ab to suraj oDh ke baiThunga 'qayyum'
main ek ThanDe yaKH dariya se guzra hun