aawazon ke jal bichhae jate hain
khone wale ab kya pae jate hain
achchhe achchhe logon ki kya puchhte ho
yaad kiye jate hain bhulae jate hain
hans hans kar jo phul khilae the tum ne
is mausam mein sab murjhae jate hain
suraj jaise jaise Dhalta jata hai
us ki diwaron tak sae jate hain
rishton par ek aisa waqt bhi aata hai
suljha suljha kar uljhae jate hain
phir us ne rahon mein phul bichhae hain
hum jaise phir Thokar khae jate hain
apne daman par hain 'shakil' apne aansu
log magar ehsan jatae jate hain
Ghazal
Aawazon ke jal bichhae jate hain
Shakeel Gwaliari