aawaz de ke KHud ko bulana paDa mujhe
apni madad ko aap hi aana paDa mujhe
mujh se tumhaare aks ko karta tha bad-guman
aaina darmiyan se haTana paDa mujhe
phir is ke baad jurat-e-girya nahin hui
ek ashk KHak se jo uThana paDa mujhe
phir yun hua ki jhuT ki aadat si ho gai
phir yun hua ki sach ko chhupana paDa mujhe
pani qubul hi nahin karta tha meri lash
dariya ko apna nam batana paDa mujhe
mehman aa gaya tha so khane ki mez par
jalta hua charagh bujhana paDa mujhe
dharti ke zarf ka hua andaza jab 'munir'
kuchh roz apna bojh uThana paDa mujhe
Ghazal
Aawaz de ke KHud ko bulana paDa mujhe
muneer saifi