اردو हिंदी
Aawargan-e-shauq sabhi ghar ke ho gae | Shaahi Shayari
aawargan-e-shauq sabhi ghar ke ho gae

Ghazal

Aawargan-e-shauq sabhi ghar ke ho gae

Razi Akhtar Shauq

;

aawargan-e-shauq sabhi ghar ke ho gae
ek hum hi hain ki kucha-e-dilbar ke ho gae

phir yun hua ki tujh se bichhaDna paDa hamein
phir yun laga ki shahr samundar ke ho gae

kuchh daere taghayyur-e-duniya ke sath sath
aaise khinche ki ek hi mehwar ke ho gae

us shahr ki hawa mein hai aisa bhi ek fusun
jis jis ko chhu gai sabhi patthar ke ho gae

suraj Dhala hi tha ki wo sae baDhe ki 'shauq'
kam qamatan-e-shahr barabar ke ho gae