aatish-e-soz-e-mohabbat ko bujha sakta hun main
dida-e-pur-nam se ek dariya baha sakta hun main
husn-e-be-parwa tera bas ek ishaara chahiye
meri hasti kya hai hasti ko miTa sakta hun main
ye to farma dijiye takmil-e-ulfat ki qasam
aap ko kya waqai apna bana sakta hun main
ishq mein roz-e-azal se dil hai paband-e-wafa
bhulne wale tujhe kyunkar bhula sakta hun main
ham-nafas mutlaq bhi tufan-e-alam ka gham nahin
bahr ki har mauj ko sahil bana sakta hun main
baKHsh di hain ishq ne is darja mujh ko himmaten
zaKHm kha kar dil pe 'qaisar' muskura sakta hun main
Ghazal
Aatish-e-soz-e-mohabbat ko bujha sakta hun main
Qaisar Nizami