aatish-e-hijr ko ashkon se bujhane wale
tujh ko rone bhi na denge ye zamane wale
zahr-e-gham kha to sahi ai dil-e-mahrum-e-karam
pursish-e-haal ko aa jaenge aane wale
yaad aate hain to aae hi chale jate hain
dil se jate hain kahan dil se bhulane wale
dawa-e-did abas jurat-e-didar ghalat
aap mein aa na sake aap ko pane wale
jab se dekha hai tujhe main ne ye main dekhta hun
mujh ko diwana samajhte hain zamane wale
dil mein bhi baste hain arman-o-tamanna ki tarah
nur ban kar meri nazron mein samane wale
wo zara mast nigahon se pilaen to sahi
hosh mein aaenge hum hosh se jaane wale
kitne ahbab 'rishi' ishq ka dam bharte hain
kitne hote hain magar naz uThane wale
Ghazal
Aatish-e-hijr ko ashkon se bujhane wale
Rishi Patialvi