اردو हिंदी
Aatish-e-gham mein bas ki jalte hain | Shaahi Shayari
aatish-e-gham mein bas ki jalte hain

Ghazal

Aatish-e-gham mein bas ki jalte hain

Mushafi Ghulam Hamdani

;

aatish-e-gham mein bas ki jalte hain
shama san ustuKHwan pighalte hain

wahi dasht aur wahi gareban chaak
jab talak hath panw chalte hain

dekh teri safa-e-surat ko
aaine munh se KHak malte hain

joshish-e-ashk hai wo aankhon mein
jaise us se kuen ubalte hain

dekh aariz ko tere gulshan mein
saikDon rang gul badalte hain

shoKH-chashmi butan ki mujh se na puchh
ki ye nazron mein dil ko chhalte hain

dekhiyo shaiKH ji ki chaal ko Tuk
ab koi dam mein ye phisalte hain

bin liye kaam dil ka us ku se
'mushafi' hum koi nikalte hain