aatish-e-bagh aisi bhaDki hai ki jalti hai hawa
kucha-e-gul se dhuan ho kar nikalti hai hawa
girya-e-ushshaq se kichaD hai aise ja-ba-ja
tham kar diwar-o-dar galiyon mein chalti hai hawa
gulshan-e-alam ki nairangi se hota hai yaqin
phir shagufa phulta hai phir badalti hai hawa
dekhiye ja kar zara kaifiyyat-e-josh-e-bahaar
jhumte hain peD gir gir kar sambhalti hai hawa
na-rasai dekhna uDta hai jab mera ghubar
yar ke koThe ki kanis se phisalti hai hawa
garmiyon mein sair gulzaron ki bhati hai mujhe
har qadam par pankhiya phulon ki jhalti hai hawa
'bahr' pankha hath se rakh do nihayat zar hun
mauj-e-dariya ki tarah mujh ko kuchalti hai hawa
Ghazal
Aatish-e-bagh aisi bhaDki hai ki jalti hai hawa
Imdad Ali Bahr