aati hai zindagi mein KHizan bhi bahaar bhi
sehn-e-chaman mein phul bhi hote hain KHar bhi
naraazgi na ho to mohabbat hai be-maza
hasti KHushi bhi gham bhi hai nafrat bhi pyar bhi
be-e'tinaiyon mein bhi hai chashni ka lutf
hota hai iltifat kabhi nagawar bhi
chhoDa na KHauf-e-hijr ne daman tamam raat
aaghosh-e-pur-sukun mein tha dil be-qarar bhi
arman ka KHun samaj ki talwar ne kiya
majbur maslahat se hua iKHtiyar bhi
mehnat ki saKHt dhup mein pipal ki chhanw mein
hai dasht-e-gham mein abr-e-karam ki phuwar bhi
har-chand be-daregh baha KHun-e-arzu
lekin hua hai daman-e-dil lala-zar bhi
ganjina-e-sifat hai us ki har ek baat
surat bhi guftugu bhi ada bhi shiar bhi
angur ke ye bagh lab-e-ju ye chahchahe
hoga yahin kahin pe hamara mazar bhi
'jami' pe kya banegi KHuda jaane hashr mein
jannat ki aarzu hai gunahon se pyar bhi

Ghazal
Aati hai zindagi mein KHizan bhi bahaar bhi
Jami Rudaulvi